Thursday 12 January 2017

Android Phone Fast Kaise Kare (Cool Tips)



Agar aapka smartphone slow hai to wo kabhi bhi crash kar sakta hai aur usme jitna data hai sabhi erase ho sakta hai isliye phone ko hamesa boost karte rahiye aur jitna ho sake phone RAM ko khali rakhiye.
Har smartphone User chahta hai ki uska phone fast kaam kare aur usme internet fast surf kare par aisa sabke saath hota nahi hai, Agar aapke phone me 1Gb RAM hai aur aap uspar movies dekh rahe hai tab hi kisi ka achanak phone aa jata hai to aapka phone Hang hone lagta hai aisa phone fast na hone ki wajah se hota hai aur phone fast Internal storage me saved Junk file ki wajah se nahi ho pata hai.
Mobiles ki speed badhane ke liye aapko bahut se chijo ko remove aur internal storage ko clean karke rakhna hota hai aur is par faltu ke junk apps install nahi karne chahiye tab hi aap apne phone ko full fast bana sakte hai.

Android Phone Fast Karne Ke Tarike

Android mobile ko fast karne ke bahut se tarike hai aur sabhi tarike working hai par aapko khud se bhi isme Experiment karte rakhna chaiye aur normal cheeze jisse phone slow hoti hai unhe ignore karna chahiye.
Phone slow hone ka sabse bada reasons phone me installed junk apps hai, Agar aap faltu ke apps ko apne phone par install kar nahi rakhenge tabhi phone ki speed achii rahegi aur phone fast raega.
Niche mai aapko kuch tips bata raha hu ho sake to unhe follow kariye agar aap mere ish tips ko follow karte hain definitely aapka phone fast work karne lagega aur phone ki speed bhi kuch had tak increase ho jayegi.
#1 Junks Apps Ko Uninstall kare
Mobile me kai junks apps pahle se pre-installed hote hai jinhe aap to na uninstall kar sakte ho aur na hi delete kar sakte ho to aise me aap phone ko fast karne ke liye kya karoge? Generally aajkal ke smartphone me minimum 1Gb RAM hota hai aur 1Gb ram hone ki wajah se aap phone ko root karte hai tab bhi wo slow nahi hota hai.
Ab aap soch rahe honge mai aapko phone root karne kyu bol raha? Iska bhi ek main reason hai root karne se phone ki security brake ho jati hai aur phone me pre-installed app ka lock bhi brake ho jata hai tab aap iski madad se Junk apps ko remove/Uninstall kar sakte hai.
#2 Disable Or Block Non Usable Background Apps
Jab aap phone ko swith on karte hai tab phone par 30+ background apps active ho jate hai aur wo chalte rahte hai jisse ki phone ki battery bhi jald khatam hone lagti hai, Aise apps ko aap unistall nahi kar sakte hai kyuki ye sabhi apps phone Os ke liye important hoti hai but ise aap disable kar sakte hai, Apps disable karne par bhi phone ki speed badhti hai aur mobile fast work karta hai.
#3 Fully Up To Date Your Smartphone
Always apne smartphone ko up to date rakhiye, Agar aapke phone par update available nahi hai to koi problem nahi hai par jinke phones me update available hai wo thode Data kharch kar phone ko update kar lijiye.
Agar aapke paas OLD model ka android phone hai aur aap usko fast karne ke liye update karna chahte hai to wo aap recovery mode me jakar kar sakte hai, recovery mode se phone ko new Os me upgrade karne ke liye aapko apne phone Model ka SDK internet se download karna hoga aur recovery menu me jakar Apply update from Sd Card select karke phone ko update karna hai.
#4 Don’t Customize Your Phone
Apne phone par Live Wallpaper or Theme rakhna sabko achaa lagta hai par inhi chijo ki wajah se aapke phone ki performance 25% tak reduce hoti hai aur jiske karan battery bhi jald over hoti hai, agar aap seriously apne phone ko fast karna chahte hai to in faltu ke apps ko apne phone par install mat kare aur phone Font normal rakhiye.
#5 Surf Internet On Restricted Mode
Kisi kisi ke phone par jab internet surf ki jati hai tab phone screen par faltu ads automatic hi show hone lagti hai aur aisa jyadatar wifi connected smartphone par dekhne ko milta hai, agar aap apne phone par restricted mode on karke internet surf karenge to aisi ads aapke screen par show nahi honge aur phone fast work karegi.
Aap Upar diye sabhi formula ko apply kar ke dekhiye agar aapka phone in tips ko apply karne ke baad bhi fast nahi hota hai to aap apne phone ko ek baar hard reset kariye.
Hard reset karne se phone ki jitni bhi data hai sabhi erase hoti hai aur phone pahle ke jaisa (Factory mode) ho jata hai.
Phone ko fully reset karne ke baad In sabhi tips ko apne phone par apply kariye tab dekhiye phone ki speed bani rahti hai ya nahi.
To ummid hai dosto aapko hamari ye jankari pasand aayi hogi agar aapko ish post Phone fast kaise kare se related kuch sawal puchna hai to wo aap hame comment karke puch sakte hai aur aise hi cools tricks ke hamare Facebook page ko jarur Like kare.

0 comments: