Wednesday 31 May 2017

Youtube Kaise Chalaye Slow Internet Par

Aap sabhi jante he india me internet speed slow hai aise me jab hame youtube par video dekhna ho to kafi problem aati he me aapko slow speed me youtube kaise chalaye uske bare me ek app ke bare me bta rha hu

abhi hal hi me youtube ne india me slow internet valo ke liye youtube go naam se app launch kiya he jiski help se aap kam internet speed me bhi youtube video ko aasani se dekh sakte ho

aap sabko yaad hoga facebook ne bhi slow internet ke liye facebook lite app launch kiya tha usi tarah ab youtube ne bhi youtube go app launch kiya he

Youtube Go App Kaise Install Kare

Youtube go app ko install karne ke liye aapko play store ko use karna he play store par aap youtube go search karke app ko install kar sakte hai



abhi testing ke liye eska bita version nikala gya he kuch samay bad eska full version aa jayega tab aap es app ko update kar lena jisse aapko full option mil jayenge

Youtube Go App Kaise Use Kare

App install karne ke bad app ko open kare or apni pasand ke hisab se language select kare yah app hindi ke alava kai indian language ko support karta hai

es app ka look ekdam simple hai or eska size bhi 8mb ka jisse esko har koi kam ram me bhi aasani se use kar sake

es app me video par jaise hi aap click karoge to aapko do option milenge ek download ka or play ka aap play par click karke online video dekh sakte ho



or agar aap download par click karte ho to aapko alag alag size or format me esko download karne ka option mil jayega

video ekbar download karne ke bad aap jab chaho video ko bina internet ke dekh sakte ho
or apne friends ke sath share bhi kar sakte ho



video download karne ke bad video saved option me save ho jayega vha se aap video open karke offline kabhi bhi dekh sakte ho

aapko youtube kaise chalaye slow internet par eske bare me youtube go app ki jankari kaisi lagi comment karke jarur bataye or koi help chahiye to bhi aap comment kar sakte hai

SOURCE : Hindimeinternet

0 comments: